"haan! haan! ab aap kahenge ki jeet aapki hogi.
phir hum kahenge, 'yeh toh ho hi nahin sakta,
jeet hamari hogi,' phir aap kahenge,
'what the, khushi kumari gupta!
tum itne davedaari ke saath
kaise kah sakte ho ki jeet tumhari hogi?'
phir hum muskarate hue aapki aakhon mein
aankhe daalke ye kahenge,
'mr arnav singh raizada, bachpan se hum
(eyes roll crazily) pratiyogita mein bhag
lete aaye hain (smug smile)
aur jis tarah ki jeet ka tajoorba hume raha hai,
usske baare mein (eyes close and open)
aap soch bhi nahin sakte...
(set of brown eyes narrow slightly)
jisse aap shor sharaba kehte hain na,
jisse aap shor sharaba kehte hain na,
hum usse sangeet kahte hain.
ghoongroo ki awaz toh humare
liye jang ki bigul ka kaam karta hai!'"
little snarl and a...
"what the!" through clenched teeth.
"ab aage bhi badhiye aapke iss what the se,
mr arnav singh raizada, jahan pe
aapka yeh what the khatam
hota hai na, wahan pe
hamare thumke shuru hote hain."
here's looking at your thumke, kkg.
......................
No comments:
Post a Comment